Sabtu, 05 Februari 2011

Sad Gazal 2011

Hoti nahi wafa, to jafa hi kiya karo

Hoti nahi wafa, to jafa hi kiya karo
Tum bhi to koi rasm-e-mohaabat ada karo
Hum tum pay mar mittay to ye kiska qasoor hay?
Aaeina lay kay hath main khud faisala karo
Ab un pay koi baat ka hota nahi asar
Minnat karo, sawaal karo, iltija karo
Sharminda hoon kay maut bhi aati nahi mujhay
Tum mairay liye ab to koi bad’dua karo
Baitho na mehfilon main zamana kharab hay
Daikho hamaari baat kabhi sun liya karo
Shahid kabhi to daikhay ga wo tumko jhaank kar
Un ki gali main roz tamaasha kiya karo

Apna Dard Barha Layta Hoon


Apna Dard Barha Layta Hoon
Us Ko Pass Bul Layta Hoon
Us Ko Jab Bhi Dhundhnay Niklon
Apna Aap Ganwa Dayta Hoon
Sab Say Juda Rehnay Ki Khatir
Sab Ko Dost Bana Layta Hoon
Jungal Rah Main Aa Jaye Tu
Maa Ke Ak Dua Layta Hoon
Sari Baat Kar Kay Bhi Main
Us Ki Baat Chupa Layta Hoon
Har Ak Kaam Main Jaldi Kar Kay
Har Ak Kaam Barha Layta Hoon
Wo Tu Wo Hay Saad Main Aksar
Khud Say Dhoka Kha Layta Hoon



Tumhei’n Yaad Hy Jaana’n


Tumhei’n Yaad Hy
Jaana’n

Guzishta Saal December
Mein

Isi Terha Ka Mausam Tha

Jab Tum Ne Kaha Tha
Mujh Se

Chalo Hum Naam
Badalty Hyn

Koi Ache Se Farzi Naam

Rakho Tum Apne Aur Mere

Haan

Us Waqt Tumhai Baat

Main Ne An-suni Ker Di

Magar

Jab Se lagi Hy Thokar

Tou Ab Kuch Naam
Zehen Mein Aaye Hyn

Aaj Isi ‘December’ Mein

Mera Naam Aaj Se
“TANHA”

Aur

Tumhra Naam “MAUSAM”
Hy

k

‘TANHA” Anaa-Parast
Thehra

Aur

“MAUSAM” Be-wafa Jaana’n


Arzuen hazar rakhte hain



Arzuen hazar rakhte hain
to bhi ham dil ko mar rakhte hain
.
barq kam hausla hai ham bhi to
dil ek beqarar rakhte hain

gair hai murad-e-inayat hae
ham bhi to tum se pyar rakhte hain
.
na nigah na payam na wada
nam ko ham bhi yar rakhte hain
.
ham se khush zam-zama kahan yun to
lab-o-lahja hazar rakhte hain
.
chotay dil k hain butan mashur
bas yahi aitbar rakhte hain
.
phir bhi karte hain “Mir” sahib ishq
hain jawan ikhtiyar rakhte hain…

0 komentar:

Posting Komentar